Friday 25 January 2013

Re: ||| VuHelp4U ||| Mohameed ( S.A.W.W)

Assalam O Alaikum sister
ye buhat sensitive topic he is bare me ap kostrong references wali ahadees lani chahye then ye hadees sanad aur matan dono relations se zaeef he . dosri bat ye k in baton ka ap se qayamat k din hisab nahi liya jay ga k Nabi Kareem Sallallahu Alihe Wassalam bashar thay ya noor thay ya phir noor thay lakin bashri wajood me thay . ap se just ap ki responsibilites k bare me sawal ho ga jo jo as muslim women Allah payare Rasool ne ap ko dali hoi hen..
jazakAllah Kher

On Fri, Jan 25, 2013 at 8:25 PM, JuGnOo <blaky.angel05@gmail.com> wrote:
Mohammed Noor-e- mujasaum 

Hazoor (s.a.w.w) ki wiladat agurcha insani wajood me hui lekin haqeeqat mein wo Allah tala ka noor hein
aam noor he aaam tor pr lafz "Noor " roshni k mayno me istemal huta he lekin asal noor use khte he jo khud b roshan hu r dsro ko b roshni kare . is lea Allah tala ne hamare pyare nabi ( s.a.w.w) ko noor byan frmaya 
Sorah Mayeda ki ayest no 15 k akhri jazo me irshad-e-bari tala he 
Beshuk Allah ki traf se tumhare pass noor aa chuka he ( yani akhri nabi or roshan kitaab yani Quraan Pak)
isi trah Surah Nisaa ki ayet no 174 me Alllah tala ne furmaya 
Aye logo ! beshuk tumhare pass tumhare Rab ki trf se Burhaan a chuka he or hum ne tum pur noor yani ( Quraan Hakeem ) Nazil Farmaya
yha Mufaseerin Quraan ne burhan se murad Mohammed (s.a.w.w) or noor se QURAAN murad lea he 
Hazoor (s.a.w.w)  k noor k bare me Hazrat Usman Abi Al- Ass (r.a) apni walida se rewayet krte he 
Hazoor (s.a.w.w ki wiladat k waqat me ne dekha k aik noor zaahir hua he jis se ghur r tmam daro deewar ko norani kr dea he me ne dekha Asmaan k sitare nazdeek agye he me ne khyal kea k shaed wo muj pr a gire ge .
 bazz seerat nigaro ne likha he jub Ap (S.a.w.w) ki wiladat hui ap bilkul pak saaf peda huye ap ka cehra mubarik chodveh raat k chand ki trah chumuk rha tha or apk jism se mushk-o anbur ki khusboo arhi thi baz ahadees me aya he k Hazrat Amna frmati he k me ne shub-e-wiladat me dekha k aIk noor zahir hua her jis se shaam k mehlaat roshan hu gye he 
or ap (s.a.w.w ) ki wiladut se yahoodion me tehelka much gya. aik yahoodi ne hazoor (s.a.w.w) k dono shano k drmeyan aik khas ilamut dekhi  to behosh hu kr zameen pr gir gaya phir khne lga , khuda k kism ! bani israyeel ( yahoodi qoum ) se nabuwat jati rahi 


( MIDARH NABUWAT PAGE NO 62,63 JILD DOEM)

--
--
To post to this group, send email to vuhelp_pk@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to vuhelp_pk+unsubscribe@googlegroups.com
 
 
Group Rules Vuhelp4u
Sharing of Video songs links, movies links, dramas links are not allowed in study group. Only Islamic and general information Video links allowed.
SPAM, Advertisement, and Adult messages are NOT allowed and that member will be behaved strictly.
http://groups.google.com/group/vuhelp_pk?hl=en_US
 
 
 



--


اس نے انسان کو قطرہ نجس سے پیدا کیا پھر وہ کھلّم کھلّا  جھگڑا کرنے والا بن گیا ۔
 سورہ النحل

"Tum acha karo or zamana tmko bura samjhe ye tmhare haq mein behtar hy,
bajaye is k tum bura karo or zamana Tumko acha samjhe"



--
--
To post to this group, send email to vuhelp_pk@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to vuhelp_pk+unsubscribe@googlegroups.com
 
 
Group Rules Vuhelp4u
Sharing of Video songs links, movies links, dramas links are not allowed in study group. Only Islamic and general information Video links allowed.
SPAM, Advertisement, and Adult messages are NOT allowed and that member will be behaved strictly.
http://groups.google.com/group/vuhelp_pk?hl=en_US
 
 
 

No comments:

Post a Comment